शुक्रवार, 18 अक्तूबर 2013

Gulon Mein Rang bhare Baad-e-Nau-bahar chale-

Faiz By Runa laila
Maqaam Faiz koi raah mein jacha hi nahin
Jo kue yaar se nikle to sue daar chale


Uploaded on Nov 12, 2008
Runa Laila sings ghazal of Faiz Ahmad Faiz
Runa Laila is very smart..because Faiz has said..Muqam Faiz koi Rah main jacha hii nahi
jo kooye yar se nikle to sooye daar chale..
but she changed it with
jo kooye yar se nikle to sooye yar chale(means just after leaving friend's home she entered back :P )

lyrics
Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale

Qafas udaas hai yaaro saba se kuchh to kaho
Kahin to bahr-e-Khuda aaj zikar-e-yaar chale

Kabhi to subah tere kunj-e-lab se ho aaghaz
Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushakbaar chale

Bara hai dard ka rishta yeh dil gharib sahi
Tumhare naam pe aaenge ghamgusaar chale

Jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijraan
Hamaare ashk teri aaqbat sanwaar chale

Maqaam Faiz koi raah mein jacha hi nahin
Jo kue yaar se nikle to sue daar chale

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें