रविवार, 16 जून 2013

wo subah kabhi to aayegi.

Part 1 and 2 of that touching song 
Mukesh- asha bhosale- phir subah hogi
Song-Wo subah kabhi to aayegi ..(both version together) 
.Movie- Phir subah hogi (1958) 
Singers-Mukesh, Asha Bhonsle, 
Lyrics-Sahir Ludhianvi 
Music Director -Khaiyyam
Cast - Mala Sinha ,Raj Kapoor,Rehman ,Mubarak ,Leela Chitnis ,Nana Palsikar .Jagdish Sethi
Director -Ramesh Saigal 
ABOUT MOVIE :- Phir Subah Aayegi is based on the story Crime and Punishment by Russian Novelist Fyodor Dostoevsky. And It was the 4th highest grossing film in India of 1958.


Song in text:
hmm
wo subah kabhi to aayegi
wo subah kabhi to aayegi
wo subah kabhi to aayegi

in kaali sadiyon ke sar se jab raat ka aanchal dhalkega
jab dukh ke baadal pighlengen
jab sukh ka saagar chalkega
jab ambar jhoom ke naachega
jab dharti naghme gaayegi
wo subah kabhi to aayegi
wo subah kabhi to aayegi

hmm aaa
jis subah ki khaatir yug yug se ham sab mar mar kar jeete hain
aaa aaa
jis subah ki amrit ki dhun me ham jahar ke pyaale peete hai
bhooki pyaasi roohon pe ek din to karam farmaayegi
wo subah kabhi to aayegi
wo subah kabhi to aayegi
aaa hmm aa

Maana ke abhi tere mere armaanon ki keemat kuch bhi nahin
mitti ka bhi hai kuch mol magar insaano ki keemat kuch bhi nahin
insaanon ki izzat jab jhoote sikko me na toli jaayegi
wo subah kabhi to aayegi
wo subah kabhi to aayegi
wo subah kabhi to aayegi
aaa hmm...

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें